🕌 ﴾ ﷽ ﴿ 🕋 *_✍🏻 HAZRAT IMAM AAZAM RADIYALLAHU ANHU KA EK DAHRIYA SE MUNAJRAH🌻☘_* _🍀👉Hamare imam hazrat imam e aazam radiyAllahu anhu ka ek dahriya , khuda ki hasti ke munkir se munajra mukarrar hua aur mojuye munajra yahi masla tha ke aalam ka koi khalik hai ya nahi ? is aham masle par munajra aur fir itne bade imam se chunanche maidane munajra me dost dushman sabhi jama ho gaye ._ _*🌹👉Magar hazrat imam e aazam waqt mukarrar se bahut der ke bad majlis me tashreef laye , dahriya ne pucha ke aapne itni der kyu lagai? Aapne farmaya ki agar me iska jawab ye du ki me ek jangal ki taraf nikl gaya tha waha ek ajeeb wakiya najar aaya jisko dekhkar me hairat me aakar wahi khada ho gaya. Aur wah waqiya yah tha dariya ke kinare ek darakht tha, dekhte hi dekhte woh darakht khud ba khud kat kar jameen par gir pada fir khud uske takhte taiyar hue fir un takhto ki khud ba khud ek kashti taiyar hui .*_ _📿👉Aur khud ba khud hi dariya me chali gayi. Aur fir khud ba khud woh dariya ke is taraf ke musafiro ko us taraf aur us taraf ke musafiro ko is taraf lane aur le jane lagi. Fir har ek sawari se khhud hi kiraya bhi wasool karti thi._ _To batao tum meri is bat par yakeen kar loge?_ _Dahriya ne yeh sunkar ek kahe-kaha lagaya or kaha, aap jesa bujurg aur imam aisa jhoot bole to taazzub hai. bhala ye kam kahi khud ba khud ho sakte hai?jab tak koi karne wala na ho kisi tarah nahi ho sakte._ *_🍃👉Hazrat imam e aazam ne farmaya ki ye to kuch bhi kam nahi hai tumhare najdeek to usse bhi jyada bade bade aalishan kam khud ba khud bagair kisi karne wale ke taiyar hote hia , yeh jameen , yeh aasman, ye chand, ye suraj, ye sitare, ye bagat, ye sadha qism ke rangeen fool aur shiri fal yeh pahad, ye chopaye, ye insane, aur ye sari khudai bagair kisi banane wale ke taiyar ho gayi ,agar ek kashti ka bagair kisi banane wale ke ban jana isse bhi jyada jhoot hai._* _Dahriya aapki taqreer sun kar dam ba khud hairat me aa gaya aur foran apne aqide se taayab hokar musalman ho gaya._ *📚Tafseer kabeer safa 221 Jild 1* SABAK” :- is qaynat ka yakeen ek khalik hai jiska naam Allah hai aur wajoode bari ka inkar aql ke bhi khilaf hai._* {Sachchi hiqayat safa 23, 24}