MUHAMMAD foran paun khul gaya,
                             MUHAMMAD 
Whether the money that you get on the money kept in the bank or on the stock market investment is halal or not



SAWAL NO. 1 - Waseelah mangna kaisa hai ?

JAWAB NO. 1 Shayad ye suwal tha ki waseele se mangna kaise hai, to mohtram kisi nabi wali wagera ko allah ki bargah me waseelah banana jaiz or quran hadis se sabit hai, zyada tafseel ke liye “ja‐al haq” ka mutala mufeed hai

Quran me Tumhara RAB farmata hai :Sureh maida ayat 35 
"Aye Imaan waalo, Allah se Daro aur uski taraf WaseeLa Dhundo" Or farmata hai Allah Surah Baqrah, Aayat:89 "Aur jab unke paas ALLAH ki woh kitaab (Quran) Aayi jo unke Saath waali kitaab (Tauret) ki tasdik farmaati hai, Aur is se pehle woh usi NABI ke WASEELE se Kafiron par fatah maangte the, to jab tashrif Laaye paas woh jaana pehchaana us se munkir ho baithe, to ALLAH ki La'anat munkiro par "Hazrath usman bin Hanif ko Huzoor ( Ne ye Dua Maangne ka hukum diya: "Aye Allah Mai tere
Nabi ke WASEELA Jaleela se teri taraf tawajja karta hun, Ya RasoolAllah mai Aapke WASEELE se Apne Rab ki taraf apni Hajaat ke barey me muwajja hu, takay woh poori hojaye.
Tirmizi Shareef
Hazrath Ali (RaziAllahu anhu) farmate: hain: "Maine Nabi (Sallallahu Alaihi wasallam) se suna: Abdaal, Shaam me hote hai, ye 40 mard hain, inme se jab koyi ek marta hai to khuda uski jagha dusra Muqarrar kar deta hai, Inke WASEELE se barish hoti hai, inke WASEELE se jang me fateh milti hai, aur inke WASEELE se Shaam waalo par Aazab dafa kiya jata hai.
Mishkaat, jild:1, Baab‐Yaman‐o‐Sh aam
Sayyiduna Ibne umar (RaziAllahu anhu) se Riwayat hai k Rasoolullah (Sallallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:"Jab Mo'azin Aazan deta hai to Aazan ka jawaab do, phir Mujhpar Durood padho,aur phir Mere WASEELE Se ALLAH Se Dua karo"
Muslim, kitaab us Salaat, baab‐isteh baabul faul, page 738, Hadees 749
Imam of islam IMAAM SHAFAYI (Rehmatullah Alaih) farmate hain:"Mujhe jab koi Hajat pesh Aati hai, mai 2 Rakat Namaz Ada karke IMAM E AAZAM ABU HANIFA Key Mazaar e pur Anwar per jakar nke WASEELE se Dua maangta hun, ALLAH MERI HAJAT POORI KAR DETA HAI.
khairat‐ul‐hissan



SAWAL NO. 2 - Bank me rakhe huye paiso par ya share bazaar ke investment par Jo interest milta hai wo paisa halal hai ya nahi.? 

JAWAB NO. 2- Hindustan ke bank me jo raqm rakhne par bank se us raqm par jo zaaid raqm milti hai sood nahi hoti, uska lena jaiz or us paise ko jaiz kaam me bhi laga sakte hai, maslan masjid madrsa, haj wagera, 
Fatawa Behr ul uloom Jild: 03 Safah: 45 par hai, 
Hindustan ke gair muslim agar apni marzi se koi raqm Musalmano ko den aur is ke liye me koi ujr izzat ko khatra Wagera naa ho to is ka laina JAIZ hai isko jis masraf me Kharch karega jaiz hoga (maslan deeni kaam me bhi)

SAWAL NO. 3- Hazrat kya kisi bachche ka naam Mohammad Raza rakh sakte hai aur Hazrat is naam ka matlab bhi bata den ? 

JAWAB NO. 3- Rakh sakte hai, jaiz hai, 
Mohammad= Bahot Tareef Kiya gaya, saraha hua
Raza= Khush hona, razi hona )

SAWAL NO. 4- Ya Husain kahna sahi he ya ghalat plz hadish ke .hwale se btaye ?

JAWAB NO. 4- Lafz “YA” ke sath kisi nabi wali ko bad

 unke wisal ke bhi ya fir door se bhi pukarna jaiz hai, YA Husain (radi allah anhu) kehna bhi durust hai, Hadis Bukhari me hai Hazrat abdullah bin umar (radi allah anhu) ka paun so gaya, kisi ne kaha unhe yaad keejiye jo apko sabse zyada mehboob hai, Hazrat ne buland awaz se kaha YA MUHAMMAD foran paun khul gaya,
Is hadis se pata chala ki door se bhi apne mehboob shaks ko “ya” ke sath pukar sakte hain,
Fatawa Razawiyya Jild: 29 Safah: 554 par hai
Aam log jo sakhtiyo ke waqt nabio walio nek bando se faryad karte hain, “ya shaikh....fula (ya rasool allah ya ali ya shaikh abdul qadir <ya husain>) or inki misl kehte hai jaiz hai ya nahi, aur wali bad intiqal ke bhimadad karte hai ya nahi, Jawab diya : beshak ambiya, mursaleen, auliya ulama se madad mangna jaiz hai, aur weh bad intiqal bhi madad farmate hai,  


SAWAL NO. 5 - jo namaz chhoot jati hain safar, hain ya shadi wagera me jane se ya us se bhi pehle bimar ho jane se wo namaz kaise padi jayen.?

 JAWAB NO. 5 - NAMAZ E QAZA ADA KARNE KA TARIQA, 

Pehle ye arz kar du ki jo namaz qaza karne ki halat suwal me sail ne darj ki us halat ko namaz qaza nahi kar sakte chahe shadi ho ya safar aisa nahi ki in halato me namaz muaf thi balki safar me to farz namaz waise bhi kam ho jaati hai yani apne shehr e asli se 92 K/m door jaane or 15 din se kam ke liye jane par, har 4 rakat ki farz namaz 2 hi padhni hogi, or jo namaz e qaza hui hain unhe ada karne ke bad, tauba bhi karni hogi warna qaza to ada ho jayegi magar qaza karne ka gunah sar rahega, yani qaza ko jald ada karna bhi wajib or lazim bhi, Qaza namaz agar yaad naa ho ki pichli zindagi me kitni reh gai, to jab se balig ho jab se ab tak ya jab se namaz e shuru ki hai us tak ke sal ka andaza laya jaye, agar ye yaad nahi ki kab balig huye to ladka 12 sal se andaza lagaye ladki 9 sal se, yani agar kisi 20 sal me namaz shuru ki to, 12 se 20 sal tak yani 8 sal ki namaz hui or ladki ki 9 se 20 yani 11 sal ki namaz zimme baki hui,
Ham isi misal ki buniyad pe age zikr karte hai maslan kisi ki 8 sal ki namaz qaza hain Ek sal me din 365 yani ek sal me 365 namaz qaza hui, wo bhi har ek waqt ki (yani 365 far, 365 asr wagera) 8 saal me 8 X 365 = 2920 namaze qaza hui, wo bhi ek waqt ki Yani, 2920 fazr qaza, 2920 hi zohar qaza, 2920 hi asr or magrib qaza, 2920 isha or vitr qaza, ye hukm ladke ke liye hai. 
ladki har mah me napaki ke din ko kam karegi, maslan 4‐6 din har mah napak rehti hai to har maah se 4 din(yani kam wale din) kam kare to uske liye har mahine 26 namaz qaza hai, jabki ladke ke liye poori 30, 8 sal qaza karne wali ladki ki qaza namaz Ek mah me din 30 magar 4 din napaki ke hataye to din 26 Ek sal me 26 X 12 = 312 (yani ek sal me 312 namaz qaza huiye, wo bhi ek waqt ki) 8 sal me din 312 X 8 = 2496, wo bhi ek waqt ki Yani, 2496 fazr qaza, 2496 hi zohar qaza, 2496 hi asr or magrib qaza, 2496 isha or vitr qaza,(or ye 4 din misal ke tor par kam kiye gaye, har ladki ya aurat apne napaki ke din kam se kam wale khud andaze se gataye ho sakta ho kisi ke 6 din ho to wo 6 har maah kam kare)
AB ISE PADHNE KA ASAN TARIQA,
Sabse asan or behtar tariqa hai ki pehle ek hi waqt ki namaz ada kare yani pehle sabhi fajr padh le fir is tarah poori hone par agli padhe, jab ki qaza namaz padhe to pehle fajr hi padhe jab tak poori naa ho jaye,
Niyat‐ iske do tariqe hai ( jis tarah chahe padhe, 
1‐ niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse pehle qaza hui waste allah ke......... allahu akbar_
2. niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse akhri qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
(jis waqt ki padhe wahi naam le, zohar, asr wagera) Niyat bandhte hi Pehle sureh fatiha shuru kar de, fir surat milaye (yani sana wagera naa padhe) Fir ruku me jaa kar 1 baar tasbih padhe, or sajde me jaa kar bhi ek bar hi tasbih padhe, isi tarah 2 takat padhe or jab salam pherne bethe to attahiyyat poori padh kar, or salam pher de yani bad wali dua bhi naa padhe, is tarah, farj ada karta jaye, (4 rakat wali me akhri ki do rakat me sureh fatiha naa padhe balki 3 bar kahe, or vitr me, teesri me fatiha or surat zarur padhe or takbir keh kar, qunoot naa padhe balki 1 ya 3 bar keh le 
3 waqto me namaz e qaza ada nahi kar sakte, 1‐zawal ke waqt, 2 tulu e aftab ke waqt, 3 magrib se 20 mint. Pehle tak, asr bad qaza padh sakte hai, or jab magrib me 20‐25 mnt. Reh jaye to na padhe,
Qaza namaz chupchap ada karni chahiye, naa kisi ko bataye naa kisi ke samne ada kare naa iska zikr kare,
or namaz padhta rahe copy me note rakhe ki kitne din ki fajr padh li,
Ummid haiye NAFA BAKHSH KALAM SABIT HUA HOGA