_Hazrat kismat ka masla samajh nahi aata koi kehta he 2020

Questions and Answers Learning Din by joining Hadith 2020 Whatsapp Group


_Questions NO. 1 .- * _ _ The issue of fate is not understood, what else is it, that fate is the main one; it is what it is, what is it, what happens, what is it? . sakti he ye masla kuchh samajh nahi aaraha he. The _


Answers no. 1 - * _ _ There is a daru sari bate hak in Suwal, which is tukde mere hoda hai karat rahat balat na, duedar bade maati with dua, or which rhyme is neither mine nor milte is you. It is very deceitful. Or you spice is very complex, we all have crossed the mark, I am aware that this devil of the sea devil has surrounded me, we have some love to try to understand in the tongue, _


* _Takadeer 3 variety of Hoti *


_1.mubram, 2 ha Musahibe Mubram, 3 alla Muallah Pehli which is the type of Taqdeer i.e. Mubram isme tabdeeli naamumkin hai, yani rab tala ne agar kks shaks ki koi baat is taqeer me to badhi badhiyehi hai. maslan koi 70 sal me marega or ye taqdeer e mobram me hua to age Peechhe nahi ho sakta na kisi ki dua se na kisi or tariqe se, _


_Doosri qism ki taqdeer me tabdili ho jaati hai, yani kisi nek, Nabi, Wali wagaira ki dua se ye taqdeer badal jaati hai, _


_Teesri qism ki jo taqdeer hai ye bhi dua or bande ke nek amal se badal jaati hai or isme agar kuchh bura hone wala hota hai or banda dua kare, ya nek amal kare to wo burai se bach sakta hai, jis. Dua takedar badal dei hai, _


_Hazrat Ibrahim (Ahissalam) ko qaum e loot ke liye dua karne se rok diya gaya, kunki us qaum par ye azab ana taqdeja e mobram me likha tha ko ji bhi nabi wali ki dua se nahi badahhi nahi badhāa hai ki Alaihissalam) ki umar 60 se bada kar 100 kar di gayi wo doosri ya teesri qism thi jisme tabdeeli mumat hoti

Hi, _

,_



SAWAL NO. 2 -*_ _kya bakra eid main naye kapde nahi pehne jate hain ?_

JAWAB NO. 2-*_ _Harz nahi_ 

SAWAL NO. 2 -*_ _Lafz  ka Matlab ya tarjuma kya hai. ?_

_ JAWAB NO. 2 -*_ _Iska tarjuma AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat ne Apne Tarjuma e Quran KANZUL IMAAN me Is tarah Kiya  he)Allah unse razi Surah Tauba ayat 100_

_*SAWAL NO. 2 -*_  ek village hai jisme sirf ek masjid hai jo ki deobandio ki hai is haal mai kya kiya jaaye.Namaz kis tarah se adaa ki jaye.?_

JAWAB NO. 2*_ _Masjid sunni deobandi ki nahi hoti balki usme imamat khabees ki ho jaati hai yaa musalman ki rehti hai_
_jis bina par keh diya jaata hai ki masjid unki hai, namaz farz hai use qaza nahi kiya jaa sakta aisi surat me namaz apni tanha padhi jaye chahe ghar par ya unki jamat khatam hone par usi masjid mai, Or agar waha abadi sunnio ki hai to waha masjid me imamat deobandi ki kaise ho gai, ye ghor karne ka mukam hai, musalmanan e gaun ko lazim hai ki jis tarah mumkin ho, masjid me sunni imam ka intizam kare taki doosre sunni ki namaz barbad hone se bacha sake, or agar wo masjid apni shuru se nahi thi to musalmano ko chahiye ki apni jamat alag kare, unke peechhe namaz padhna gunah hai, warna apni masjid ka intizam kiya jaye isi tarah jume ke liye bhi, ki unke Peechhe juma nahi ho sakta, warna sunni shaksh zohar apni tanha padhe,_
_Jaisa ki ALAHazrat Imam ahle sunnat Fatawa Razawiyya Jild: 6, Safa:593 Par likhte hai Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai._
_Or isi Fatawa Razawiyya Jild:6 Safah: 621 par Likhte hai._
_Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma wa Eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe namaz batil mehez hai_
_Or aage isi Fatawa Razawiyya Jild:6 Safah: 631 Par likhte hai_


🙆🙆
SAWAL NO. 3 -*_ _Ek ladka ek ladki se shadi karna chahata hai, aur wo ladki bhi ladke se shadi karna chahati hai, lekin ladki ek aise silsile se baiyet(mureed) hai jis silsile se ladka be had khilaf hai. Aur aise me agar shadi ho bhi jati hai to shadi ke baad Agar ladki ne kabhi bhi us silsile ka naam tak liya to ladke ko na kabile bardast hoga,?_
_To Hazrat is surat me ladka kya kare kya ladki se baiyet todhne ki bat shadi se pahle karni hogi, aur jahan se wo ladka chahata hai wahan se mureed ki shart rakhni hogi??_
_Baraye karam Hazrat bataye ke kya kiya jaye_

_  JAWAB NO. 3 -*_ _Awwal to yeh ki shadi se pehle mangetar se baat karna ya rabita rakhna haram hai fir ladka shadi se pehle kaise usse ye baat tey kar sakta hai, or shadi se pehle ladka ladki se kis surat me kab baat kar sakta hai iski shart hamne Suwal no. 60 me darj kar di hai,_
_Jahan ladki mureed hai agar wo silsila sokht nahi hai, or jis peer se mureed hai unme wo char shart hai jo Imam E Ahle Sunnat ne Apne fatawa me naql ki yani_
_1. Aqeede ka sunni ho,_ _2. Ilm e fiqh itna janta ho ki zarurat ke masail kitab se nikal sake,_
_3. Koi gunah ailaniya naa karta ho_
 _4. Silsila Huzoor ( ( tak pahuchta ho,_
_To aisi surat me baiyt torna najaiz hai,_

_or agar iske khilaf hai ya silsila sokht me bayet hai to fir wo baiyt nahi doosre kisi jame sharait peer se bayet ho sakti hai, magar aisa karne ke liye ladke se poochne ki zarurat nahi. Ab agr ladki sahi sunni peer e kamil ke hath par bayet hasil kar chuki hai aur ladka bila wajah us silsile ya peer ke khilaf hai to aise jahil ko apne iman ki fiqr karni chahiye ki kahi aisa naa ho ki kisi peer ki mukhalifat maut ke waqt kalime se bhi mehrum rakhe or allah ke wali se dushmani allah hi se dushmani hai, doosri baat ye ki bivi ko kisi peer se bayet hone ke liye shohar ki ijazat ki zarurat nahi, bina ijazat bhi jaha chahe mureed ho sakti hai or is kaam ke liye shohar majboor nahi kar sakta. Dar haqiqat mureedi naam hai apne dil me peer ki mohabbat ka iradat ka, jiske dil me kisi band e khuda ki mohabbat bas jaye use nikalna mushkil hai, to ye ladka kaise bila wajah apne peer se ise bayet kara sakta hai jabki dil me us peer ki mohabbat naa hogi to bayet kaise durust hogi,  jis tarah kisi wahabi ke dil me zabrdasti alaHazrat ki mohabbat nahi daali jaa sakti isi tarah kisi sunni ke dil se alaHazrat ki mohabbat nahi nikali jaa sakti_
*_AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild: 26 Safah: 558 par likhte hai_*

_Jab afazal silsila aaliya, qadriya.. me sheikh jaame sharait Ke hath par fakhr e bayt naseeb ho chuka hai to use doosri Taraf asann tawajju wa pareshan nazar hi naa chahiye,_
_*Or farmate hai isi Jild: 26 Safah: 579 par* Jo shaks kisi sheikh jame sharait ke hath par bayt Ho chuka ho to doosre ke hath par bayt naa chahiye Doosre jamae sharait se talab e faiz me harz nahi,_ 
_In sari baato ka khulasa ye hai ladke ko apni harkat se baz ana chahiye in sabhi pehlu me ladka hi gunah ki daldal me hai, (or ladki iska sath de to wo bhi) kisi se uske peer ke khilaf baat karna khud uske imaan ki halaqat hai kisi peer ya silsile ki toheen haram hai, or bila waja bayet turwana najaiz hai, jo kisi peer ya silsile ki tazeem nahi kar sakta uska apne peer se dawa e mohabbat bhi jhutha hai. or kuchh surato me ye shaks dushman e khuda bhi hai._


SAWAL NO. 4-*_  _Hazrat aurate sadhi jo bandhti hain kafir aurto ki tarah kya wo sahi he ?_

_* JAWAB NO. 4 -*_  _Sadhi pehnne me harj nahi harj sadi me us waqt hoga, jab gair mard ke samne jayegi ki sitr ka parda naa ho sakega, ya halat e namaz me agar sitr dikhai deta hai to namaz nahi hogi, agar aisa kuchh nahi sirf ghar me apne shohar ke sath hai to pehn sakti hai. Magar iski aadat naa kare kyunki kabhi to koi rishtedar mehman wagaira ghar me ayega hi or wahi libas ikhtiyar karna chahiye jisse parda‐poshi zyada ho sake,_

_*SAWAL NO. 4-*_  _Aap(sws)ki baat ko ya hadees ko radd ya inkar karne wala kafir hai ke nahi_

_*JAWAB NO. 4 -*_  _Jawab dene se pehle me ye zaruri samajhta hu ki sail ko uski ek badi khata se agah kiya jaye aur wo ye ki Suwal me durud ko short me likha gaya hai is tarah likhna najaiz hai, baz log sirf (swad) likh dete hai, ye bhi naa chahiye, Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi FATAWA RAZAVI Jild: 23 Safah: 386 par likhte hai_
_Huruf ((likhna jaiz nahi, balki likha jaye, to roman English me aap (alaihissalam)…_
_likha kare. (allah amal ki tofiq de).. ab jawab ki taraf Hadis pak ki kai qism hoti hai jaise, Mutawatirah, sahih, hasan, ghareeb, zaiif, khabr, Aur fir inme bhi kai kai qism hai, jaise khabr e wahid wagera, To har hadis ka inkar karne wala KAFIR NAHI hoga, magar ye dekhna hoga ki kis hadis ka inkar karta hai, or baz me gumrah hoga baz me khata karne wala or baz me kafir, Agar apka Suwal ye ki koi hadees e Mustafa ka inkar hi kar raha hai yani wo hadis e pak ko ya nabi ke qaul fel ko manta hi nahi to bila shak wo KAFIR or ISLAM E KHARIJ hai, ki agar hadis ko naa mane sirf quran ko mane to bhi musalman nahi ho sakta, ki quran me har chiz ki dalil saf nahi warna hazaro balki lakho masail aise pesh aa jayega ki hadis ke bagair chara nahi or islam pe sabit qadam rehna mumkin naa hoga, isi tarah hadis ko naa manne wala quran me , namazo ka waqt kis ayat se dekhega, or namazo ki rakat, wuzu torne wali chize, namaz torne wali cheeze ki tafseel quran me kis ayat se manega, wagera wagera, isi tarah agar hadis e mutawatirah ka inkar karta hai to bhi kafir hai, isi tarah Hadis e mash’hoora ka munkir gumrah hai, or jo Ahadees e Akhbar (yani khabar e wahid) ka inkar agar wo kisi dalil ki buniyad par kare to alag bat warna use khaati (khata karne wala kaha jayega).._
_Quran e pak me faramaya surah nisa main “aur rasool ki taraf aao to aap dekhoge, ki ye munafiqeen aap se munh mor lete hai” Iski tafseel Nuzhat Ul Qari Sharah Sahi Al Bukhari ke mukadme me yani Jild: 1 Safah: 60 se padhi jaa sakti hai. Or ALAHAZRAT IMAM E AHLE SUNNAT Hadaiq e Bakhshish shareef me farmate hai Ima(n) e Qaul e Mustafai, Quran e haal e mustafai_

SAWAL NO. 5 -*_ _Agar zabiha janwar ke petse bachcha nikal jaye use kiya kare zibha kare ya dafan.?_

JAWAB NO. 5 -*_ _Bachcha agar murda nikle to HARAM hai.(dafan kar de) zinda nikle or zibah kar le to HALAL_
*Fatawa Razawiyya Jild: 20 Safah: 279*

_*SAWAL NO. 5-*_ ᴊᴀɴᴀʙ ᴋʏᴀ ᴀᴜʀᴀᴛ ᴇʏᴇʙʀᴏᴡ ʙᴀɴᴡᴀʏᴇ ᴛᴏ ᴋᴜᴄʜʜ ʜᴀʀᴊ ʜᴇ ᴋɪᴀ...ᴋɪᴀ ʏᴇ ɢᴜɴᴀʜ ʜᴇ. ᴊᴀᴡᴀʙ ᴅᴇɴ ᴛᴏ sᴀᴡᴀʙ ᴘᴀʏᴇ..

_JAWAB NO.-*_5: ʙᴜᴋʜᴀʀɪ ᴋɪ ʜᴀᴅɪs ᴇ ᴘᴀᴋ ᴍᴇ ᴀɪsɪ ᴀᴜʀᴀᴛᴏ ᴘᴀʀ ʟᴀɴᴀᴛ ғᴀʀᴍᴀɪ ᴏʀ ɪsᴇ ϙᴀʏᴀᴍᴀᴛ ᴋɪ ɴɪsʜᴀɴɪ ᴍᴇ sʜᴜᴍᴀʀ ғᴀʀᴍᴀʏᴀ ᴋɪ ᴀᴋʜʀɪ ᴢᴀᴍᴀɴᴇ ᴍᴇ ᴀᴜʀᴀᴛᴇ ᴀᴘɴɪ ʙʜᴀᴡᴇɴ ᴋᴇ ʙᴀᴀʟ ɴᴏᴄʜᴇɴɢɪ, ғᴀʀᴍᴀʏᴀ: (ᴋʜᴜʟᴀsᴀ ᴇ ᴀʜᴀᴅᴇᴇs ᴇ ᴍᴜʙᴀʀᴋᴀ) ᴊᴏ ᴀᴜʀᴀᴛ ʜᴀsᴇᴇɴ ʙᴀɴɴᴇ ᴋᴇ ʟɪʏᴇ ʙʜᴀᴡᴏɴ ᴋᴇ ʙᴀᴀʟ ɴᴏᴄʜᴇ ᴜs ᴘᴀʀ ᴀʟʟᴀʜ ᴋɪ ʟᴀɴᴀᴛ ʜᴀɪ, ᴀᴜʀ ɢᴏᴅɴᴇ ᴡᴀʟɪ ᴀᴜʀ ɢᴜᴅᴡᴀɴᴇ ᴡᴀʟɪᴏ ᴘᴀʀ ʙʜɪ .. ɪsɪ ᴛᴀʀᴀʜ ᴍᴀʀᴅᴏ ᴋɪ ᴡᴀᴢᴇʜ ʙᴀɴᴀɴᴇ ᴡᴀʟɪᴏ ᴘᴀʀ ʙʜɪ... ᴍᴜ ᴋᴇ ʙᴀʟ ɴᴏᴄʜɴᴇ ᴡᴀʟɪᴏ ᴘᴀʀ (ᴀʟʟᴀʜ ᴋɪ ʙᴀɴᴀᴡᴀᴛ ᴍᴇ ᴛᴀʙᴅᴇᴇʟɪ ᴋᴀʀᴛɪ ʜᴀɪ) ᴜɴᴅᴀᴛᴜʟ ϙᴀʀɪ sʜᴀʀᴀʜ ʙᴜᴋʜᴀʀɪ ᴍᴇ ɪs ʜᴀᴅɪs ᴇ ᴘᴀᴋ ᴋɪ sʜᴀʀᴀʜ ɪs ᴛᴀʀᴀʜ ʙʏᴀɴ ᴋɪ (ᴋʜᴜʟᴀsᴀ) ʜᴀᴅɪs ᴍᴇ ʜᴀsᴇᴇɴ ʙᴀɴɴᴇ ᴋᴇ ʟɪʏᴇ ʟᴀɴᴀᴛ ᴀᴀɪ ʟɪʜᴀᴢᴀ ɪs ϙᴀɪᴅ ᴋᴀ ʟɪʜᴀᴢ ʀᴀᴋʜᴀ ᴊᴀʏᴇɢᴀ, ʏᴀɴɪ ᴋᴏɪ ᴋʜᴜʙsᴜʀᴀᴛ ʜᴀɪ ᴏr ᴍᴀᴢᴇᴇᴅ ᴋʜᴜʙsᴜʀᴀᴛ ʙᴀɴɴᴇ ᴋᴇ ʟɪʏᴇ ʙʜᴀᴡᴇɴ ʙᴀɴᴡᴀʏᴇ ᴛᴏ ɪs ʜᴀᴅɪs ᴋɪ ᴢᴀᴅ ᴍᴇ ʜᴀɪ, ʟᴀɴᴀᴛ ᴋᴇ ᴛᴇʜᴇᴛ ʜᴀɪ. ᴏʀ ᴀɢᴀʀ ᴋɪsɪ ᴀᴜʀᴀᴛ ᴋᴇ ʙʜᴀᴡᴇ ɪs ϙᴀᴅʀ ʜᴀɪ ᴋɪ ᴊɪssᴇ ᴄʜᴇʜʀᴀ ʙᴀᴅɴᴜᴍᴀ ʟᴀɢᴛᴀ ʜᴀɪ ᴊɪssᴇ ʀɪsʜᴛᴇ ᴍᴇ ʀᴜᴋᴀᴡᴀᴛ ʏᴀ ғᴀʀϙ ᴀᴀᴛᴀ ʜᴏ ʏᴀ ʀɪsʜᴛᴀ ᴛᴜᴛɴᴇ ᴋᴀ ᴋʜᴀᴛʀᴀ ʜᴏ ᴛᴏ ɪs ʙᴀᴅ ɴᴜᴍᴀɪ sᴇ ʙᴀᴄʜɴᴇ ᴋᴇ ʟɪʏᴇ ᴢᴀʀᴜʀᴀᴛᴀɴ ᴀɪsᴀ ᴋᴀʀᴇ ᴛᴏ ʜᴀʀᴊ ɴᴀʜɪ..
ᴍᴀɢᴀʀ ɴɪʏᴀᴛ ʏᴀʜɪ ʜᴏ ᴋɪ ʙᴀᴅɴᴜᴍᴀɪ sᴇ ʙᴀᴄʜɴᴇ ᴋᴇ ʟɪʏᴇ ɴᴀᴀᴋɪ ᴋʜᴜʙsᴜʀᴀᴛ ᴅɪᴋʜɴᴇ ᴋᴇ ʟɪʏᴇ.. ᴏʀ ᴀɢᴀʀ ᴀɪsɪ ᴋᴏɪ ʙᴀᴛ ɴᴀʜɪ ᴍᴇʜᴇᴢ sʜᴏʜᴀʀ ᴋᴇ ʟɪʏᴇ ᴀɪsᴀ ᴋᴀʀᴇɢɪ ᴛᴏ ʙʜɪ ɢᴜɴᴀʜɢᴀʀ ʜᴏɢɪ, ᴀʟʟᴀʜ ᴀᴜʀ ᴜsᴋᴇ ʀᴀsᴏᴏʟ ᴋɪ ʜᴜᴋᴍ ᴍᴇ ᴋɪsɪ ᴋɪ ɪᴛᴀ’ᴀᴛ ᴊᴀɪᴢ ɴᴀʜɪ. ᴏʀ ғᴀʀᴍᴀᴛᴀ ʜᴀɪ ᴛᴜᴍʜᴀʀᴀ ʀᴀʙ ᴀᴘɴᴇ ᴋᴀʟᴀᴍ ᴍᴇ ᴋɪ: ʀᴀsᴏᴏʟ ᴊᴏ ᴅᴇɴ ʟᴇʟᴏ, ᴊɪssᴇ ᴍᴀɴᴀ ᴋᴀʀᴇɴ, ʙᴀᴀᴢ ʀᴀʜᴏ.